Topics

BEA ASRAAF

sawal: rohaniyat me zaman time ko mukhtasar karnay ka tazkirah kiya jata hai wo kon ci taqat hai jis ki madad se zaman ki hadood me raddo badal kiya jasakta hai kiya zahiri zindagi me bhi aisa karna mumkin hai?

jawab: ghoor kiya jaay to ye zahiri zindagi ka aam mushahidah hai k hum zaman ya time ki giraft ko apnay upper se tor bhi saktay hain or apna upper musallat bhi karletay hain maslan humy koi kaam karna hai is kaam ko agar hai qaiday or tareeqay se kiya jaay to wo ek ghantay me pora hojata hai lekin agar hum na chahayn to ye ek ghantay ka kaam hafton or mahinon me bhi pora nahin hota ek kaam karna hai ab sochna shuru kardejiy k ye kaam karna hai is soch me k ye kaam karna hai haftay bhi lag saktay hain mahinay bhi lag saktay hain saal bhi lag saktayor agar hum fori tor par kaam shuru karden to ye kaam minton ghantoon ya dinon me pora hojata hai baat wahi hai jo pehlay kahi ja chuki hai zaman ka mukhtasar ya taweel karna insan ka apna ikhtiyari amal hai.

kaha jata hai k zindagi ka waqt muiyyan hai lekin mushahidaat or tajarbaat is baat ka inkishaf karrahay hain k zindagi k mah o saal bhi admi apnay ikhtiyar or iraday se ghata or barha sakta hai ek admi in awamil me zindagi guzarta hai jin me zindagi me kaam anay wali taqatoon or salahiyaton ka israaf beja hota hai wo aisi ghizayn istemal karta hai jis se admi ki sehet mutassir hoti hai is k dimag par ghum o fikar k aisay khayalat chaay rehtay hain jin k dabao se iskay aisaab muzahmil or dheelay par jatay hain natejay me aisay admi ki umar kaam hoti hai.

is k bar aks ek admi lawazmat zindagi ko buhut mukhtasri kardeta hai ghum o alam or fikar ko apnay qareeb nahin bhataknay deta aisi ghizayn istemal nahin karta jo khoon ko kamzor karti hain yani tambako manshiyat wagherah aisay saaf suthray mahool me rehta hai jahan fiza zeher alood nahin hoti natejay me aisay admi ki umar barh jati hai.

ye wazahat hai is baat ki zamaniyat k bhi do rukh hain ek rukh wo hai jis me admi k andar kaam karnay wali energy yani wo salahiyat wo taqat ya wo lehrein jo is ki zindagi ko qayam rakhti hain itni ziyadah kharch hoti hain k admi asabi tor par kamzor hojata hai is k aisab jawab de jatay hain or wo bila akhir mar jata hai zamaniyat ka dosra rukh wo hai k jis rukh me kaam karnay wali lehrein zarorat k mutabiq kharch hoti hain asraaf beja nahin hota chunkay lehrein aitedal me karch hoti hain is liy in ka zakherah mehfoz rehta hai zakherah mehfoz rehnay se admi k andar salahiyatein ziyadah taqatwar hojati hain or wo is taqat se zamaniyat ko mukhtasar or buhut mukhtasar karsakta hai.

rohaniyat me maraqba aisa amal hai jis k zariy is baat ki koshish ki jati hai k insan k andar lehroon ka zakhirah ziyadah se ziyadah had tak mehfoz hojay orr is mehfoz zakhiray ki taqat se is ka apna ikhtiyar or iradah is taraf safar karnay lagay jahan sukoon or rahat ki zindagi mojod hai.

hum nay jis taqat ko lehronn ka naam diya hai science dan in lehron ka naam (calories)rakhtay hain.


Taujeehat

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI


DIL ALLAH KA GHAR HEY IS GHAR MEIN, MEIN NEY AZEEMI KEHKASHAN DEKHI HEY. ALLAH KI MAARFAT AS MUNAWAR TEHRER KO AZEEM KEHKASHAUN KEY ROSHAN CHARAGHON KEY SUPERD KERTA HOON TAKEH WO IS NOOR SEY APNEY DILON KO MUNAWAR KAREN