Topics

Wasail Mein Izafah

Fajar ki namaz ada karne ke baad aisi jagah baith jayye jahan se nikalta huwa Sooraj nazar aeye. Jaisay hi ufq se Sooraj ki tikia namodaar ho یَا بَاسِطُ parhna shuru kar den. Taresath ( ۶۳ ) martaba parh kar hathon par dam karen aur haath chehray par phair kar uth jayen. Amal ki muddat chalees roz hai. Is amal se wasail mein izafah hota hai. Badhaali aur iflaas daur ho jata hai. Is amal ki ijazat sirf un logon ke liye hai, khuda na khwasta jin ke gharon mein muflisi ne dire daal diye hain aur koi rasta khilta huwa nazar nahi aata 

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .