Topics

Insaan Ke Andar Khazanay

Allah woh hai jis ne aasman se barish barsa kar mukhtalif qisam ke nabataat ugaye, sabz rang ke pouday peda kar ke un se khosey nikalay aur khajoron ke sath phalon ke do guchay lagaye jin tak tumhari rasai ho sakti hai. Allah ne mukhtalif aur mumasil qisam ke angoor, zaitoon aur anaaron ki jannaten peda kee. Phalon ke lagnay aur paknay par ghhor karo. Un nabataat mein ahal imaan ke liye muajzaat aur asbaq mojood hain. ( Inaam 100)

Allah woh hai jo hawaon ko samndron ki taraf bhejta hai jahan se yeh aabi bukharat ko le aati hain aur is terhan hum murda bustiyon ko sairaab kya karte hain. ( Fatir 9 )

Yeh baat kon nahi jaanta ke kaayenaat mein mojood har shai ki zindagi ghzaon ke oopar qaim hai. Insaan gosht, dalain, namak, gandum waghera se apni ghizai zaroriat poori karta hai. Kuch janwar ghaas khatay hain, darendey gosht khatay hain, parinday dana chugney hain, hashrat al arz matti chat’tey hain.

Poudoun ke liye un ki ghiza nitrogen, choona, potaas aur hydrogen fraham ki jati hai. Zameen ki ghizai zaroorat khizaa ke patt jhar, hadion, gobar, khoon aur balon se poori hoti hai. Pachees hazaar mil lambi aur wasee o areez zameen ko qowat o tawanai muntaqil karne ke liye qudrat ne sooraj ki shu-aon se a yak khobsorat aur fikar angaiz nizaam qaim kya hai. Sooraj ki taiz shu’ayen samandar ke oopar padtee hain to pani ke bukharat hawaon ke dosh par oopar uthte hain aur phir zameen par jal thal ho jata hai. Zameen mein takhleeqi sanchay angraiyaan lainay lagtay hain.

Bijli ki chamak Allah ki takhleeq mein se aik moujza hai. Khaaliq kaayenaat asmano se barish barsa kar murda zameen mein hayaat no peda kar deta hai. Is amal mein danishmand logon ke liye aqal o fikar ke asbaq mojood hain. ( Room24)

Kya tum dekhte ho ke Allah ne fazai bulandiyon se pani utaara jo zameen ki darzon mein daakhil ho kar phir chashmon ki soorat mein bahar nikla aur un chashmon se rang barang khityan namodaar huien. (Zumur 31 )

Tum dekhte ho ke zameen pehlay pyaasi hoti hai phir jab hum pani barastee hain to woh khush hoti hai, is ke qawaye namoo baidar hotay hain aur woh khush numa darakht ghaas aur poudoun ke jore ugati hai. ( hajj5 )

Rohani science walay kehte hain ke darakht bhi aapas mein guftagu karte hain. Insanon ki terhan khatay peetay aur saans letay hain, barhatay aur bachay peda karte hain.. .. ..  Insanon ki terhan kash makash mein ulje rehtay hain. Aik dosray ke khilaaf husn tadbeer ke sath aur askari khiirad o danish ke sath jung karte hain.

Zameen mein bohat si jari bootiyan aisi payi jati hain jin ke beej khashkhaash se bees gina chhootey hotay hain. Qudrat ne un ke andar do jari hui pattian, dandi jo jarr ban kar zameen mein paivest ho jati hai, aik girah jo dandi banti hai aur is beej mein jarr pakarney se pehlay chand roz ki ghiza mehfooz rakhti hai. Ae aqal walo ghhor karo. Tafakar aur tadabbur ke sath kaayenaat ke andar jhaank kar dekho aur andaza lagao ke itnay kam wusat beej mein jab qudrat ne zindagi ka itna bara zakheera mehfooz kar diya hai. To Allah ke naib insaan mein kitney khazanay mehfooz hunge.


Tajaliyat - Roman

KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI

UN SCINCEDANO KE NAAM

JO 15VEEN SADDI HIJIRI MEIN

MOJOODA SCINCE KA

AKHRI UROOJ DUNIYA

KI TABAHI DHEKH KAR

EK WAHID ZAAT

KHALIQ KAINAAT

ALLAH KI TAJALI KA

IRFAN HASIL KAR LEINGE